Thursday, February 19, 2009

Thursday, February 12, 2009

Tuesday, February 10, 2009

Hum tum se shok_e_mulakat nahi rakhte magar ...

Hum tum se shok_e_mulakat nahi rakhte magar ...
Mile koi aur tum se ye acha nahe lagta ...

Hum tumhe chahte b nahe magar ...
chahe koi aur tumhe ye acha nahe lagta ...

Tere kafley mai chalne ki aarzo nahe magar ...
chale koi aur sath tere ye acha nahi lagta ...

Dèedar tera shayed pasand nahi hamey magar ...
Dekhey koi aur tumhe ye acha nahi lagta ...

Nafrat hai mohabat hai adawat hai maaloom nahi ...
kisi aur ko shahqar batayen ye acha nahi lagta...
and kitab main khali auraq rakhta hoon
dil ko aainey ki tarah shafaf rakhta hoon

ik bar ka milna kar deta hia mutasir
apni ghufgato main kuch aisa andaaz rakhta hoon

mujh sai milo to zara fasley sai mila karoo
main dil main utar janey ka kamal rakhta hoon

har dukh ko yunhi bant deta hoon lafzoon main
kuch aisa hee dostana mizaj rakhta hoon

kyun hai

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

Bikhar rahi

Bikhar rahi hai meri zaat ause keh dena,
Kahein mile woh tu yeh baat ause keh dena,

Ause kehna ke bin aus ke din kat taa nahi,
Sisak ke kat ti hai har raat ause keh dena,

Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath ause keh dena,

Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat ause keh dena,

Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat ause keh dena,

Agar woh phir bhi naa loute tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat ause keh dena,

Har aik jeet os ke naam kar raha hoon main,
Main mantaa hoon apni maat ause keh dena,

Osey pukaaron yaa khud puhanch jaaon os ke paas,
Rahe bas mein kab yeh halaat ause keh dena,

Baras baras ke nigahein bhi ho gayein hain pathar,
Pari hai gham ki ajab raat ause keh dena,

Woh din kaha keh zamaane ki khushbein hoon meri,
Hain ab tu khaali mere haath ause keh dena,