Tuesday, February 10, 2009

Bikhar rahi

Bikhar rahi hai meri zaat ause keh dena,
Kahein mile woh tu yeh baat ause keh dena,

Ause kehna ke bin aus ke din kat taa nahi,
Sisak ke kat ti hai har raat ause keh dena,

Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath ause keh dena,

Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat ause keh dena,

Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat ause keh dena,

Agar woh phir bhi naa loute tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat ause keh dena,

Har aik jeet os ke naam kar raha hoon main,
Main mantaa hoon apni maat ause keh dena,

Osey pukaaron yaa khud puhanch jaaon os ke paas,
Rahe bas mein kab yeh halaat ause keh dena,

Baras baras ke nigahein bhi ho gayein hain pathar,
Pari hai gham ki ajab raat ause keh dena,

Woh din kaha keh zamaane ki khushbein hoon meri,
Hain ab tu khaali mere haath ause keh dena,

No comments: